Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa

Ranjish hi sahi, dil hi dukhane ke liye aa
Aa phir se mujhe chhod ke jane ke liye aa

Kuch to mere pindaar-e-mohabbat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujh ko manane ke liye aa

 

Pehle se marasim na sahi phir bhi kabhi to
Rasm-o-rah-e-duniya hi nibhane ke liye aa

Kis kis ko batayenge judai ka sabab hum
Tu mujh se khafa hai to zamane ke liye aa

Ek umr se hoon lazat-e-giryah se bhi mehroom
Aye raahat-e-jaan, mujh ko rulanay ke liye aa

Ab tak dil-e-khush fehm ko tujh se hain umeedein
Yeh aakhri shamain bhi bujhanay ke liye aa

 

4o

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *