Mataa-e-be baha hai dard o sooz aarzoo mandi
Mataa-e-be baha hai dard o sooz aarzoo mandi
Maqaam-e-bandagi de kar na loon shaan-e-khudawandi
Tere aazaad bandon ki na yeh duniya na woh duniya
Yahan marne ki pabandi wahan jeene ki pabandi
Hijab ikseer hai aawara-e-koye mohabbat ko
Meri aatish ko bhadkati hai teri deer paewandi
Guzar auqaat kar leta hai yeh koh o beyaabaan mein
Ke shaheen ke liye zillat hai kaar-e-ashyaan bandi
Yeh faizaan-e-nazar tha ya ke maktab ki karamath thi
Sikhaye kisne Ismail ko aadaab-e-farzandi
Ziyarat-gah-e-ahle azm o himmat hai lahad meri
Ke khaak-e-rah ko maine bataya raaz-e-alwandi
Meri mushatagi ki kya zaroorat husn-e-ma’ni ko
Ke fitrat khud bakhud karti hai laale ki hina bandi