Khird-mandon se kya poochoon ke meri ibtida kya hai Ke main is fikr mein rehta hoon meri inteha kya hai
Khudi ko kar buland itna ke har taqdeer se pehle Khuda bande se khud pooche, bata teri raza kya hai
Maqaam-e-guftagu kya hai agar main kiimya-gar hoon Yahi soz-e-nafas hai aur meri kiimya kya hai
Nazar aayen mujhe taqdeer ki gehraaiyaan is mein Na poochh aye hum-nashiin mujh se woh chashm-e-surma sa kya hai
Agar hota woh majzoob-e-Farangi is zamaane mein To Iqbal usko samjhaata maqam-e-kibriya kya hai
Nawaaye subh-gaahi ne jigar khoon kar diya mera Khudaaya jis khata ki yeh saza hai, woh khata kya hai