Har shay musafir, har cheez rahi

Har shay musafir, har cheez rahi
Kya chaand, taare, kya murgh o maahi

 

Tu mard-e-maidan, tu mir-e-lashkar
Noori hazoori tere sipah

Kuch qadr apni tu ne nah jaani
Yeh be-sawadi, yeh kam nigah

Dunya-e-dun ki kab tak ghulami
Ya raahibi kar, ya padshah

Peer-e-haram ko dekha hai maine
Kirdar be-sooz, guftaar waahi

 

Leave a Reply