dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai

dil-e-nādāñ tujhe huā kyā hai
āḳhir is dard kī davā kyā hai

ham haiñ mushtāq aur vo be-zār
yā ilāhī ye mājrā kyā hai
maiñ bhī muñh meñ zabān rakhtā huuñ
kaash pūchho ki mudda.ā kyā hai

jab ki tujh bin nahīñ koī maujūd
phir ye hañgāma ai ḳhudā kyā hai

ye parī-chehra log kaise haiñ
ġhamza o ishva o adā kyā hai

shikan-e-zulf-e-ambarīñ kyuuñ hai
nigah-e-chashm-e-surma sā kyā hai

sabza o gul kahāñ se aa.e haiñ
abr kyā chiiz hai havā kyā hai

ham ko un se vafā kī hai ummīd
jo nahīñ jānte vafā kyā hai

haañ bhalā kar tirā bhalā hogā
aur darvesh kī sadā kyā hai

jaan tum par nisār kartā huuñ
maiñ nahīñ jāntā duā kyā hai

maiñ ne maanā ki kuchh nahīñ ‘ġhālib’
muft haath aa.e to burā kyā hai

Leave a Reply