Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana

Ab ke tajdeed-e-wafa ka nahi imkaan jana
Yaad kya tujh ko dilayein tera paimaan jana

Yun hi mausam ki ada dekh ke yaad aaya hai
Kis qadar jald badal jaate hain insaan jana

Zindagi teri ata thi so tere naam ki hai
Hum ne jaise bhi basar ki tera ehsaaan jana

Dil yeh kehta hai ke shayad hai fasurda tu bhi
Dil ki kya baat karein, dil to hai naadaan jana

Awwal awwal ki mohabbat ke nashe yaad to kar
Be piye bhi tera chehra tha gulistan jana

Aakhir aakhir to yeh aalam hai ke ab hosh nahi
Rag-e-meena sulag uthi ke rag-e-jaan jana

Muddaton se yehi aalam na tawakku na umeed
Dil pukare hi chala jata hai jana jana

Hum bhi kya saada the, hum ne bhi samajh rakha tha
Gham-e-dawran se juda hai gham jana jana

Ab ke kuch aisi saji mehfil-e-yaaran jana
Sar ba zanoo hai koi, sar ba gareebaan jana

Har koi apni hi awaaz se kanp uthta hai
Har koi apne hi saaye se haraasan jana

Jis ko dekho wahi zanjeer-e-paa lagta hai
Shehar ka shehar hua daakhil-e-zindan jana

Ab tera zikr bhi shayad hi ghazal mein aaye
Aur se aur hue dard ke unwan jana

Hum ke roothi hui rut ko bhi mana lete the
Hum ne dekha hi na tha mausam-e-hijraan jana

Hosh aaya to sabhi khwab the reiza reiza
Jaise udte hue awraaq pareshaan jana

Leave a Reply