Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen

Ab ke hum bichhde to shayad kabhi khwabon mein milen
Jis tarah sookhe hue phool kitaabon mein milen

Dhoondh ujre hue logon mein wafa ke moti
Yeh khazane tujhe mumkin hai kharaabon mein milen

Gham-e-duniya bhi gham-e-yaar mein shaamil kar lo
Nasha barhta hai sharabein jo sharabon mein mile

Tu Khuda hai na mera ishq farishte jaisa
Dono insaan hain to kyun itne hijabon mein milen

Aaj hum daar pe kheenchay gaye jin baaton par
Kya ajab kal woh zamane ko nasabon mein mile

Ab na woh main na woh tu hai na woh maazi hai Faraaz
Jaise do shakhs tamanna ke saraabon mein milen

Leave a Reply