Justa justa parh liya karna mazameen-e-wafa
Par kitaab-e-ishq ka har baab mat dekha karo
Is tamashe mein ulat jaati hain aksar kishtiyan
Doobne walon ko zair-e-aab mat dekha karo
Mai kade mein kya takalluf, mai kashi mein kya hijab
Bazm-e-saqi mein adab aadaab mat dekha karo
Hum se darveshon ke ghar aao to yaaron ki tarah
Har jagah khaskhana o barf-aab mat dekha karo
Maange taange ki qabain der tak rehti nahi
Yaar logon ke laqab o alqaab mat dekha karo
Tashnagi mein lab bhigo lena bhi kaafi hai Faraz
Jaam mein sahba hai ya zehr-aab mat dekha karo