Aankh se door na ho, dil se utar jayega

Aankh se door na ho, dil se utar jayega
Waqt ka kya hai, guzarta hai guzr jayega

Itna maanus na ho khilwat-e-gham se apni
Tu kabhi khud ko bhi dekhe ga to dar jayega

Doobte doobte kashti ko uchhala de doon
Main nahi koi to sahil pe utar jayega

Zindagi teri ata hai, tu yeh jaanay wala
Teri bakhshish teri dehleez pe dhar jayega

Zabt laazim hai magar dukh hai qayamat ka Faraaz
Zalim ab ke bhi na roye ga to mar jayega

4o mini

Leave a Reply