Karu na yaad magar kis tarah bhulaoon usay
Ghazal bahaana karoon aur gungunaoon usay
Woh khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind
Main zakhm zakhm hoon phir bhi galay lagaoon usay
Yeh log tazkare karte hain apne logon ke
Main kaise baat karoon, ab kahan se laoon usay
Magar woh zood faramosh, zood ranj bhi hai
Ke rooth jaye agar yaad kuch dilaoon usay
Wohi jo daulat-e-dil hai, wohi jo raahat-e-jaan
Tumhari baat pe ae nasihon, ganuaoon usay
Jo humsafar sar-e-manzil bichhad raha hai Faraz
Ajab nahi hai agar yaad bhi na aaon usay