Zindagi insān ki ek dam ke siwā kuch bhi nahīn

Zindagi insān ki ek dam ke siwā kuch bhi nahīn
Dam hawa ki mauj hai, ram ke siwā kuch bhi nahīn

Gul-e-tabassum keh raha tha zindagāni ko magar
Sham’a boli, gireh-e-gham ke siwā kuch bhi nahīn

Raaz-e-hasti raaz hai jab tak koi muhram na ho
Khul gaya jis dam, to muhram ke siwā kuch bhi nahīn
Zairān-e-Ka’bah se Iqbal yeh poochhe koi
Kya Haram ka tohfa zamzam ke siwā kuch bhi nahīn!

Leave a Reply