Khul jaayein, kya maze hain tamannaaye shauq mein Do chaar din jo meri tamanna kare koi
Nazaaray ko yeh janbish-e mijgaan bhi baar hai Nargis ki aankh se tujhe dekha kare koi
Uzr-aafreen jurm-e mohabbat hai husn-e dost Mahshar mein uzr taza na paida kare koi
Mansoor ko huwa lab-gooya paighaam-e maut Ab kya kisi ke ishq ka daawa kare koi
Ud baithe kya samajh ke bhala toor par Kaleem Taqat ho deed ki to taqaza kare koi
Ho deed ka jo shauq to aankhon ko band kar Hai dekhna yehi ke na dekha kare koi
Chhipti nahi hai yeh nagah-e shauq hum-nashin Phir aur kis tarah unhein dekha kare koi
Main intehaye ishq hoon, tu intehaye husn Dekhe mujhe ke tujh ko tamasha kare koi