Sad Urdu Poetry, for him, WO MERA HO Q NHI JATA
وہ میرا ہو کیوں نہیں جاتا
Khudaya ye mojza ho kiun nahin jata
wo mera hay to mera ho kiun nahin jata
tamam umar tarssy hain uski ik nazr-e-inayat ko
kho kay mohabbat main hamari wo manzor-e-nazar ho q nhin jata
hum to chahtay hain usay pr us ki nazar hai khin or
kr kay tarqay bay-aitnai wo mohabbat ka istaara ho q nahin jata
kehnay ko to sjay hain hum us ki jaib main maninday phool
pr nikal kay nazar say kanta wo hmay maninday gull smajah q nhin jata
do kashti ka musafir bn kr jhool rha hai pani ki lehron par
agr wo mahiray teraq hay to samandar mai ghota zan ho q nahin jata
chor kr dohra mayar apna wo zalim hr chand
kisi aik mehboob ka mehboob ho q nhin jata
gr wo nhi janta rasm-e-ashiqui kisi tor agr
to khud ko ashiqon ke fehrist say alag kr q nahin jata
abhi kuch pal huway wo kh rha tha wo mera hai Noor-e-Akhter
pr lootay bghair dil ko to koi chit choor nhi jata