Wo harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon

Wo harf-e-raaz ke mujh ko sikha gaya hai junoon
Khuda mujhe nafas-e-Jibreel de to kahoon

Sitara kya meri taqdeer ki khabar dega
Woh khud farakhi aflak mein hai khwar o zaboon

Hayat kya hai khayal o nazar ki majzoobi
Khudi ki mout hai andesha-e-goonan goon

Ajab maza hai mujhe lazat-e-khudi de kar
Woh chahtay hain ke main apne aap mein na rahoon

Sabaq mila hai yeh Me’raj-e-Mustafa se mujhe
Ke alam-e-bashariyat ki zad mein hai gardoo

Zameer-e-paak o nigah buland o masti-e-shauq
Na maal o daulat-e-Qaroon, na fikr-e-Aflatun

 

Yeh kainaat abhi na-tamam hai shayad
Ke aa rahi hai damadam sada-e-Kun Fayakoon

Ilaaj aatish-e-Rumi ke soz mein hai tera
Teri khirad pe hai ghalib Farangiyon ka fasoon

Ussi ke faiz se meri nigah hai roshan
Ussi ke faiz se mere saboo mein hai Jaihoon

 

Leave a Reply