Us ne sukoot-e-shab mein bhi apna payaam rakh diya
Hijr ki raat baam par maah-e-tamaam rakh diya
Aamad-e-doost ki naveed, kooye wafa mein aam thi
Main ne bhi ek chiragh sa dil sar-e-shaam rakh diya
Shiddat-e-tashnagi mein bhi ghairat-e-maikashi rahi
Us ne jo pher li nazar, main ne bhi jaam rakh diya
Us ne nazar nazar mein hi aise bhale sukhan kahe
Main ne to us ke paaon mein saara kalaam rakh diya
Dekho yeh mere khwaab the, dekho yeh mere zakhm hain
Main ne to sab hisaab-e-jaan bar sar-e-aam rakh diya
Ab ke bahaar ne bhi keen aisi shararatein ke bas
Kabk-e-dari ki chaal mein tera khiraam rakh diya
Jo bhi mila, usi ka dil halqa-bagoosh-e-yaar tha
Us ne to saare sheher ko kar ke ghulaam rakh diya
Aur Faraz, chahiyein kitni mohabbatein tujhe
Maon ne tere naam par bachon ka naam rakh diya