Teri mataa-e-hayat, ilm-o-hunar ka suroor
Meri mataa-e-hayat aik dil-e-nasuboor!
Mo’jza ehl-e-fikr, falsafa-e-pech-pech
Mo’jza ehl-e-zikr, Moosa o Firaun o Toor!
Maslehatan keh diya main ne Musalman tujhe
Tere nafs mein nahin, garmi-e-yawm-an-nushoor!
Ek zamane se hai chaak garebaan mera
Tu hai abhi hosh mein, mere junoon ka qasoor!
Faiz-e-nazar ke liye zabt-e-sukhan chahiye
Harf-e-pareshaan na keh ehl-e-nazar ke huzoor!
Khawaar jahan mein kabhi ho nahin sakti woh qaum
Ishq ho jiska jasoorr, faqr ho jiska ghayoor!