Teri mataa-e-hayat ilm o hunar ka suroor

Teri mataa-e-hayat, ilm o hunar ka suroor
Meri mataa-e-hayat ek dil naasboor!

Ek zamaane se hai chaak-e-girebaan mera
Tu hai abhi hosh mein, mere junoon ka qasoor

 

Maslahatān keh diya maine Musalman tujhe
Tere nafs mein nahin, garmi-e-Yawm al-Nashoor

 

Faiz-e-nazar ke liye zabt-e-sukhan chahiye
Harf-e-preshan nah keh, ahl-e-nazar ke huzoor

 

Khwaar jahaan mein kabhi ho nahin sakti woh qoum
Ishq ho jis ka jasoor, fiqr ho jis ka ghayoor

 

 

Leave a Reply