Poetry On Middle East War-Super Power Bannay Ka Raz

Super Power Bannay Ka Raz

Super Power bannay ka raz
Super Power bannay ka raz

Aye dunya k na khudao

Muslim k nabi ka sadqa tum khaty ho

Ummati banu mai us Nabi ka roze mehshar

Khwahish the un ke jin ko tum Nabi batty ho

Mala mal hai Muslim ummah kasraty nabatat sy

Ly k jabar sy inhy apna tum batty ho

Ary lalchi kamino wasty mal o mata

Hispania ky tail pr qabza q jmaty ho

Super Power bannay ka raz
Super Power bannay ka raz

Ary ho hareeso kanjro

Nit roz tmashy tum lgaty ho

Zarorat nhi agr tumhy tail o madneyat ke

Q gareeb mulkon mai foj lgaty ho

Loot kr pust mulkon k zakhair

Unhe ka mal aid keh kr lutaty ho

Swal hai Noor-e-Akhter ka in fakeeron sy aj

Kya lyna dyna hai tumhara gareebon ke jageron sy

Mujhe Kyun Nikala Funny Poetry by Noor e Akhter

       

Aj kl ye gana zad-e-aam hai
Mujhy q nikala mujhy q nikala
Bhook sy bachy belak rhy hain
Bey ghar foot path py sesak rhy hain
Sardi mai gareeb thethar rhy hain
Is liay tujhy nikala is liay tujhy nikala

 

Gareeb maa beti ki shadi k khawab hai bunte
Badshah tere beti karoron ka ik har hain phnte
Lootny ko hr zainab ko drendge sary aam hai phirte
Phir kya sochta hai tujhy q nikala tujhy q nikala
Khuda kry wo din b jald aye
Badshah ki apne zainab b kory sy mil jaye
Wo b roye chekhy or chillaey
Phir usy pata chly usy q nikala usy q nikala
Shuba mujhy hai Noor-e-akhter k asy badshah
Jis din leny ko jan izraeel ayen gy
To badshah us sy b takrar mai lg na jaye
Mere rooh ko tu ne q nikala Mere rooh ko tu ne q nikala

Khuda aisy badshahon ko jald utha ly
Jinho ny hr zainab k qatil hain chun chum k smbhaly
Or riaya ki qismat bus khuda k hwaly
ALLAH inhy dunya sy jald nikaly (Ameen)
Aye badshah sun frman Umra-e-Farooq ka
Shayad k tujhy sharam aa jaye haya aa jaye
Khuda na bakhshay kbhe umar ko agr nadi kinary kbhe koi pyasa kuta b mar jaye
Aye badshah fardy isyan dahiney hath mai ly paye ga tu
Itne lute hwi betion ka hisab dy paye ga tu

 

Tujhy khofe khuda q nhi ata sharam sy tu mar q nhi jata
Khuda tujhy janat sy b nikaly
Dua krte hai ye Noor-e-Akhter hr dam
ALLAH bhaij koi Umra-e-Farooq jasa naib hum pr
Mola bus ik rahmat ki nazar kr
K ab ye mulk o qaum hai tere hwaly           

 

 

DHUND K US PAR

  دھند کے اُس پار

Dhund kay us paar

Kaya Kaya haseen soorty thein

Kay dil har waqt tha dekhnay ko beqarar

Chaly jo ajal key garam hawa Noor-e-Akhtar

Wo sab soortain kho gaein dhund kay us paar

Zamany key ajab rawishein ho gaein

Wafa to wafa kay daman may hey so gae

Mera to sab mera rahy jo cheez tere ha wo bhy mere ho gae

Fikar to siraf aj ky ha kis nay socha kal kaya ho ga dhund kay us paar

Maar do cheen kay kha lo sab kuch

Kar lo bas ik dony dony do dony char

 

Kae salon par muheet ha wo aik din Noor-e-Akhtar

Kaya dey paein gay in chand salon ka hisab dhund kay us paar…


 


Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.