Success Quotes-Quote Of The Day

Quote Of The Day

Success Quotes

Quote of the day
Quote of the day

Manzil pr ponchny k liay bhagna zarori nhi hota chalty rehna zarori hai kun k kabhi kabhi bhagny sy insan mun k bal gir jata hai or rasty ke dhool sub kuch dhudla sa kr deti hai or insan manzil pr nhi pohanch pata magr chalty rehny sy insan zra dair sy he sahi magr apni manzil pr zaror pohanch jata hai.

Sad Urdu Poetry, for him, WO MERA HO Q NHI JATA

    

      وہ میرا ہو کیوں نہیں جاتا

Khudaya ye mojza ho kiun nahin jata

wo mera hay to mera ho kiun nahin jata

tamam umar tarssy hain uski ik nazr-e-inayat ko

kho kay mohabbat main hamari wo manzor-e-nazar ho q nhin jata

hum to chahtay hain usay pr us ki nazar hai khin or 

kr kay tarqay bay-aitnai wo mohabbat ka istaara ho q nahin jata

kehnay ko to sjay hain hum us ki jaib main maninday phool

pr nikal kay nazar say kanta wo hmay maninday gull smajah q nhin jata 

do kashti ka musafir bn kr jhool rha hai pani ki lehron par

agr wo mahiray teraq hay to samandar mai ghota zan ho q nahin jata

chor kr dohra mayar apna wo zalim hr chand 

kisi aik mehboob ka mehboob ho q nhin jata

gr wo nhi janta rasm-e-ashiqui kisi tor agr

to khud ko ashiqon ke fehrist say alag kr q nahin jata

abhi kuch pal huway wo kh rha tha wo mera hai Noor-e-Akhter

pr lootay bghair dil ko to koi chit choor nhi jata

 

 

RAHMAT-E-ALAM

           رحمتِ عالم

                                                asa lgta hai k aj woh noor o noor aye hain

krny ko dad rase mere Hazoor(P.B.U.H) khud tasreef laye hain

 ghar ka kona kona hony lga muatr muatr

rkhny ko dasty shafqat is yateem pr woh shahy wala aye hain

gareeb jan kr jis ko dunya ny lgai hai thokr py thokr

use gareeb ko seny sy lgany yatemo k wali tasreef laye hain

 

 

 

 

                                      mere sanse pehly to kbhe  itne bay karar na the

 

                          deny ko in bay karar sanso ko krar wo mlja o mawa tasreef laye hain

 

                                              dil ke dharkny bjj rhe hain mand e daff

 

               gee ye chahta hai  jhoom jhoom k gaon aa gaye aa gaye MUSTFA (P.B.P.H) aa gaye

 

                                                  aa gaye wo dukhion k wali aa gaye

 

                       zmany k dhut kary hwo ko seny sy lgany srdar e ambeya aa gya

 kya kry ge mere zuban app ka husan byan ky hai ik hala noor ka

 

                               dunya ko krny noor o noor pakery noor aa gaye hain

 kr rhy hain subhe ambeya ye khawahish ky bhr lein ik pyala noor ka

                 bharny ko khale kasy sbhe k ambeya k woh kaba kosain aa gaye hain

    ab aye koi chu kr to dekhay humy

k bdalny ko taqder hmare woh yaseen o taha aa gaye hain

  mudat sy ye arzu hai noor-e-akhter k dum nikly to sarkar k qadmo mai

kash mehshar mai neda kry koi krny ko bakshish syah karo ke woh rahmate doo jhan tasreef laye hain

                                                     

Wafa Shayari | Wafa Ki Umeed by Noor Akhter

Wafa Shayari! Best Wafa Shayari in Urdu

 


Wafa Key Umeed.

Kabhi hum bhi chahtay thay sab ko

Par kisi nay na  daikha rahon main kharay hum ko

Shoq say dunya kay ilm-o-fanoon sekhay hum nay

Magar afsoos hayat ka asal dars umr-e-akhir may parha hum nay

Shayad aina-e-wafa wafa key tasveer hi dekhata hay

Par bay-wafai ka sanp sab ko das jata ha ye dekha hum nay

 

 

 

 



Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.