Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir

Aaflaak se aata hai naalon ka jawab aakhir
Karte hain khitaab aakhir, uthte hain hijab aakhir

 

Ahwaal-e-muhabbat mein kuch farq nahi aisa
Soz-o-tab-o-taab awwal soz-o-tab-o-taab aakhir

Main tujh ko bataata hoon taqdeer-e-ummam kya hai
Shamsheer-o-sanaan awwal, taous-o-rabaab aakhir

May khanay-e-Yoarp ke dastoor nirale hain
Laate hain suroor awwal, dete hain sharaab aakhir

Kya dabdaba-e-Nadir, kya shaukat-e-Taimuri
Ho jaate hain sab daftar gharaq-e-may-e-naab aakhir

Khalwat ki ghari guzri, jalwat ki ghari aayi
Chhatne ko hai bijli se aaghosh-e-sahaab aakhir

Tha zabt bohot mushkil is sil-e-maani ka
Keh daala qalandar ne asraar-e-kitaab aakhir

 

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hain

Anokhi waza hai saare zamane se nirale hain
Yeh aashiq kaun si basti ke yarab rehne wale hain

Ilaaj-e-dard mein bhi dard ki lazzat pe marta hoon
Jo thay chhalon mein kaantay, nok-e-sozan se nikaalay hain

Phula phoola rahay yarab chaman meri umeedon ka
Jigar ka khoon de de kar yeh bootey maine paalay hain

Na poochho mujh se lazzat khanman barbaad rehne ki
Nasheman sekron maine bana kar phoonk daalay hain

 

Nahi beganagi achi rafeeq-e-raah-e-manzil se
Thahar ja ae sharar, hum bhi to aakhir mitne wale hain

Umeed-e-hoor ne sab kuch sikha rakha hai waiz ko
Yeh hazrat dekhne mein seedhay saadey, bhoolay bhaale hain

ا

Mere ashaar ae Iqbal kyun pyaare na hoon mujh ko
Mere toote hue dil ke yeh dard-angez naale hain