Silsile toṛ gaya wo sabhi jaate jaate
Warna itne to marasim the ke aate jaate
Shikva-e-zulmat-e-shab se to kahin behtar tha
Apne hisse ki koi shama jalate jaate
Kitna aasan tha tere hijr mein marna jana
Phir bhi ek umr lagi jaan se jaate jaate
Jashn-e-maqtal hi na barpa hua, warna hum bhi
Pa-bajolaan hi sahi, naachte gaate jaate
Us ki woh jaane, usay paas-e-wafa tha ke na tha
Tum Faraaz apni taraf se to nibhaate jaate