Is se pehle ke be-wafa ho jayein
Kyun na aye dost hum juda ho jayein
Tu bhi heere se ban gaya patthar
Hum bhi kal jaane kya se kya ho jayei
Tu ke yakta tha be-shumar hua
Hum bhi tootain to ja-baja ho jaye
Humhi majbooriyon ka uzr karein
Phir kahin aur mubtala ho jayein
Hum agar manzilein na ban paayein
Manzilon tak ka raasta ho jayein
Deer se soch mein hain parwaane
Raakh ho jayein ya hawa ho jayein
Ishq bhi khail hai naseebon ka
Khaak ho jayein, keemiya ho jayein
Ab ke agar tu mile to hum tujh se
Aise lipatain ke teri qaba ho jaay
Bandagi hum ne chhod di hai Faraaz
Kya karein log jab Khuda ho jayein
Related