Qurbat bhi nahi, dil se utar bhi nahi jaata

Qurbat bhi nahi, dil se utar bhi nahi jaata
Woh shakhs koi faisla kar bhi nahi jaata

Aankhein hain ke khaali nahi rehti hain lahoo se
Aur zakhm-e-judaai hai ke bhar bhi nahi jaata

Woh raahat-e-jaan hai magar is dar-badari mein
Aisa hai ke ab dhyaan idhar bhi nahi jaata

Hum doheri aziyat ke giraftar musafir
Paon bhi hain shal, shauq-e-safar bhi nahi jaata

Dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai
Aur tujh se bichad jaane ka darr bhi nahi jaata

Paagal hue jaate ho Faraaz is se mile kya
Itni si khushi se koi mar bhi nahi jaata