Khudī woh bahr hai jis kā koī kināra nahīn
Tū āb jo ise samjhā agar tū chārah nahīn
Ṭilasm-e gunbad-e gardūn ko toṛ sakte hain
Zujāj kī yeh ʿimārat hai sang-e khāra nahīn
Read Best Urdu Shayari (Urdu Poetry)
Metā’ be bahā hai dard o soz ārazū mandī
Maqām-e bandagī de kar na loon shān-e khudāwandī
Guzar ʿuqāt kar letā hai yeh kūh o biyābān mein
Ke shāhīn ke liye zilat hai kār āshiyānā bandī
Ziyārat-gāh ahl-e azm o himmat hai lahd merī
Ke khāk rāh ko maine batāyā rāz alwandī
Aankh se door na ho, dil se utar jayega
Waqt ka kya hai, guzarta hai guzr jayega