Kho na ja is seher-o-shaam mein ae saahib-e-hosh

Kho na ja is seher-o-shaam mein ae saahib-e-hosh
Ek jahaan aur bhi hai jismein na farda hai na dosh

Kis ko maloom hai hungaama-e-farda ka maqaam
Masjid o maktab o mekhana hain muddat se khamosh

Maine paaya hai use ashk-e-sehergaahi mein
Jis dar-e-naab se khaali hai sadaf ki aaghosh

Nai tehzeeb takalluf ke siwa kuch bhi nahi
Chehra roshan ho to kya haajat-e-gulgoona farosh

Saahib-e-saaz ko laazim hai ke ghaafil na rahe
Gaah-e-gaah-e ghalat aahang bhi hota hai suraash

 

Dil bedaar Farooqi, dil bedaar karaari

Dil bedaar Farooqi, dil bedaar karaari
Mas Adam ke haq mein kimiya hai dil ki bedaari

Dil bedaar paida kar ke dil khwabida hai jab tak
Na teri zarb hai kaari, na meri zarb hai kaari

Mishaam teez se milta hai sahra mein nishaan iska
Zan o takhmin se haath aata nahin aahuye Taatari

Is andeshe se zabt aah main karta rahun kab tak
Ke magh zaade na le jaain teri qismat ki changaari
Khudawanda, yeh tere saade dil bande kidhar jaain
Ke darveshi bhi aiyaari hai sultani bhi aiyaari
Tu ae Maula-e-Yathrib, aap meri chaara saazi kar
Meri danish hai afranghi, mera imaan hai zanari

Mir sipah-e-na-saza lashkariyaan shikasta saf

Mir sipah-e-na-saza lashkariyaan shikasta saf
Aah wo teer-e-neem kash jis ka na ho koi hadaf

Tere muheet mein kahin gauhar-e-zindagi nahin
Dhoond chuka main mauj mauj, dekh chuka sadaf sadaf

Ishq bataan se haath utha apni khudi mein doob ja
Naqsh o nigaar deir mein khoon-e-jigar na kar talaf

Khol ke kya bayan karun sar maqam marg o ishq
Ishq hai marg basharaf, marg hayat be sharaf

Suhbat-e-peer-e-Room se mujh pe hua yeh raaz faash
Laakh hakeem sarbajeeb ek Kaleem sar bakaf

Misal-e-Kaleem ho agar ma’rikah azma koi
Ab bhi darakht-e-Toor se aati hai bang “la takhaf”

“Khird ne mujh ko ata ki nazar hakeemana” translates to

Khird ne mujh ko ata ki nazar hakeemana
Sikhayi ishq ne mujh ko hadees rindaana

Na baadah hai na suraahi na dour paimana
Faqat nigah se rangeen hai bazm jaanana

Meri nawaye pareshan ko shaayari na samajh
Ke main hoon mahram-e-raaz daroon-e-maikhana

Kali ko dekh ke hai tashna-e-naseem-e-sehar
Isi mein hai mere dil ka tamaam afsana

Koi bataye mujhe yeh ghayab hai ke huzoor
Sab aashna hain yahan, ek main hoon begaana

Farang mein koi din aur bhi thehar jaaun
Mere junoon ko sambhale agar yeh veerana

 

“Zamistānī hawā mein garche thī shamshīr kī tezī

“Zamistānī hawā mein garche thī shamshīr kī tezī
Na chhoṭe mujh se London mein bhī ādāb-e sahar khezī”

“Kahīṅ sarmāya-e-maḥfil thī merī garm guftārī
Kahīṅ sab ko pareshaṅ kar gayī merī kam āmezī

“Zamām-e kār agar mazdoor ke hāthon mein ho phir kyā
Tarīq-e kohkan mein bhī wohī ḥīle hain Parvezī”

“Jalāl-e pādshāhī ho ke jamhūrī tamāshā ho
Judā ho dīn siyāsat se to reh jātī hai Changēzī”

“Sawād-e Rūmāt al-Kubrā mein dilī yād ātī hai
Wohī ibrat, wohī ʿaẓmat, wohī shān dil āvīzī”

 

“Terī nigāh faromāyah, hāth hai kotāh

“Terī nigāh faromāyah, hāth hai kotāh
Tirā gunah ke nakhīl-e buland kā hai gunāh”

“Gulā to ghoṇṭ diyā ahl-e-madrasa ne tirā
Kahān se āye ṣadā lā ilāhā illā Allāh”

“Khudī mein gum hai khudā’ī talāsh kar ghāfil
Yehī hai tere liye ab ṣalāḥ kār kī rāh”

“Ḥadīth-e dil kisī darwesh be-galīm se pūch
Khudā kare tujhe tere maqām se āgāh”

“Barahna sar hai to azm-e buland paidā kar
Yahān faqat sar-e shāhīn ke wāste hai kalāh”

“Nah hai sitāre kī gardish, nah bāzī aflāk
Khudī kī maut hai terā zawāl-e ni’mat o jāh”

 

 

Hadsa woh jo abhi pardah-e-aflak mein hai.”

“Hadsa woh jo abhi pardah-e-aflak mein hai,
Aks uska mere aainay-e-idraak mein hai.”

“Na sitaray mein hai, na gardish-e-aflak mein hai,
Teri taqdeer mere naale-e-be-baak mein hai

 

“Kya ajab meri nawaaye sahrgahi se,
Zinda ho jaye woh aatish jo teri khaak mein hai.”

“Tord daale gi yehi khaak talism-e-shab-o-roz,
Garchay uljhi hui taqdeer ke pechak mein hai.”

 

 

“Ishq se paida nawā-e-zindagi mein zairo bam.”

“Ishq se paida nawā-e-zindagi mein zairo bam,
Ishq se mitti ki tasveeron mein sooz-e-damdam.”

“Aadmi ke reshay reshay mein sama jata hai ishq,
Shaakh-e-gul mein jis tarah baad-e-sahar-gahi ka nam.”

“Apne raazq ko na pehchane to mohtaj malook,
Aur pehchane to hain tere gadaa Dara aur Jam.”

“Dil ki azadi, shahan-shahi, shikam samaan maut,
Faisla tera tere haathon mein hai, dil ya shikam.”

“Ae Musalmaan, apne dil se pooch, mila se na pooch,
Ho gaya Allah ke bandon se kyun khaali Haram.”

 

 

 

“Dhoond raha hai Farang aish-e-jahan ka dawaam,

“Dhoond raha hai farang aish-e-jahan ka dawaam,
Waaye tamannaye khaam, waaye tamannaye khaam.

“Peer-e-haram ne kaha sun ke meri royeedaad,
Pukhta hai teri fughān, ab na usay dil mein thaam.”

“Tha arni go Kaleem, main arni go nahi,
Us ko taqaza rawa, mujh pe taqaza haraam.”

 

“Garchay hai afshaye raaz ahl-e-nazar ki fughān,
Ho nahin sakta kabhi shewa-e-rindaana aam.”
“Halqa-e-soofi mein zikr be-nam o be-soz o saaz,
Main bhi raha tishna-kaam, tu bhi raha tishna-kaam.”
“Ishq teri inteha, ishq meri inteha,
Tu bhi abhi na-tamaam, main bhi abhi na-tamaam.”

Zindagi insān ki ek dam ke siwā kuch bhi nahīn

Zindagi insān ki ek dam ke siwā kuch bhi nahīn
Dam hawa ki mauj hai, ram ke siwā kuch bhi nahīn

Gul-e-tabassum keh raha tha zindagāni ko magar
Sham’a boli, gireh-e-gham ke siwā kuch bhi nahīn

 

Raaz-e-hasti raaz hai jab tak koi muhram na ho
Khul gaya jis dam, to muhram ke siwā kuch bhi nahīn
Zairān-e-Ka’bah se Iqbal yeh poochhe koi
Kya Haram ka tohfa zamzam ke siwā kuch bhi nahīn