Maktabon mein kahin ranai-e-afkaar bhi hai

Maktabon mein kahin ranai-e-afkaar bhi hai
Khanqahon mein kahin lazat-e-asraar bhi hai

Manzil-e-rah rawaan door bhi, dushwaar bhi hai
Koi is qafila mein qafila saalar bhi hai

Barh ke Khyber se hai yeh ma’raka-e-deen-o-watan
Is zamane mein koi Haider-e-Karrar bhi hai

Ilm ki hadd se pare banda-e-momin ke liye
Lazzat-e-shauq bhi hai, naimat-e-deedaar bhi hai

Peer-e-maikhana yeh kehta hai ke aiwaan-e-farang
Sust buniyaad bhi hai, aaina-e-deewaar bhi ha

 

Ameen raaz hai mardan-e-hur ki darveshi

“Ameen raaz hai mardan-e-hur ki darveshi
Ke Jibraeel se hai is ko nisbat-e-khweshi”

“Kise khabar ke safeene dobo chuki kitne
Faqeeh o soofi o shaa’ir ki na khush andeshi”

“Nigaah garam ke sheron ke jis se hosh ud jaayein
Na aah-e-sard ke hai goosfandi o meshi”

 

Tabib-e-ishq ne dekha mujhe to farmaaya
Tera marz hai faqat aarzoo ki be-nayshi”

“Woh shai kuch aur hai kehte hain jaan-e-paak jise
Yeh rang-o-nam yeh lahoo aab-o-naan ki hai beshi”

 

Fitrath ne na bakhsha mujhe andesha-e-chalaak

Fitrath ne na bakhsha mujhe andesha-e-chalaak
Rakhhti hai magar taqat parwaaz meri khaak

Woh khaak ke hai jis ka junoon siqal idraak
Woh khaak ke Jibreel ki hai jis se qaba chaak

 

 

Is khaak ko Allah ne bakhshe hain woh aansu
Karti hai chamak jin ki sitaron ko arq-naak

Woh khaak ke parwaaz-e-nasheman nahin rakhti
Chinti nahin pehnaaye chaman se khash-o-khashak

 

 

Yun haath nahin aata woh gauhar-e-yak daana

Yun haath nahin aata woh gauhar-e-yak daana
Yak-rangi o azaadi, aye himmat-e-mardaana

Ya Sanjar-o-Tughrel ka aa’een-e-jahangiri
Ya mard-e-qalandar ke andaaz-e-malukana

Ya hairat-e-Farabi ya taab-o-tab-e-Rumi
Ya fikr-e-hakeemana ya jazb-e-Kalimana

 

 

Ya aql ki rubahi ya ishq-e-Yadullahi
Ya heelah-e-afrangi ya hamlah-e-turkana

Ya shara’-e-Musulmani ya deyr ki darbani
Ya naara-e-mastana, Ka’aba ho ke butkhana

Meri mein faqiri mein shahi mein ghulami mein
Kuch kaam nahin banta be jura’at-e-rindana

 

Kya ishq aik zindagi mustaar ka

Kya ishq aik zindagi mustaar ka
Kya ishq paa’edar se naa’paa’edar ki

Woh ishq jis ki shama bujha de ajal ki phoonk
Us mein maza nahin tapish-o-intezar ka

Meri bisaat kya hai, tab-o-taab yak nafas
Sholay se be-mahal hai uljhna sharaar ka

 

 

Kar pehle mujh ko zindagi-e-jaawidaan ata
Phir zoq-o-shauq dekh dil-e-beqaraar ka

Kaanta woh de ke jis ki khatak la-zawaal ho
Yaarab, woh dard jis ki kasak la-zawaal ho

 

 

“Har cheez hai mehwo khud-numaayi

“Har cheez hai mehwo khud-numaayi
Har zarra shaheed-e-kibriaayi”

“Bay-zauq-e-numood zindagi maut
Tameer-e-khudi mein hai khudayi”

“Rai zor-e-khudi se parbat
Parbat zu’f-e-khudi se rai”

“Taaray awaara o kam aamez
Taqdeer-e-wujood hai judayi”

“”Yeh pichlay pehar ka zard ro chaand
Be raaz o niyaz aashnai”

“Teri qandeel hai tera dil
Tu aap hai apni roshnai”

 

 

“Jugnu ki roshni hai kashan-e-chaman mein

“Jugnu ki roshni hai kashan-e-chaman mein
Ya shama jal rahi hai phoolon ki anjuman mein”

“Aaya hai aasman se ud kar koi sitara
Ya jaan par gayi hai mehtab ki kiran mein”

“Ya shab ki saltanat mein din ka safeer aaya
Ghurbet mein aa ke chamka, gumnaam tha watan mein”

“Tukma koi gira hai mehtab ki qaba ka
Zarra hai ya numayan sooraj ke pairahan mein

“Husn-e-qadeem ki ek posheeda yeh jhalak thi
Le aayi jis ko qudrat khalwat se anjuman mein”

“Chhotay se chaand mein hai zulmat bhi roshni bhi
Nikla kabhi gahan se, aaya kabhi gahan mein”

 

 

 

Yeh peeran-e-kaleesa o haram, aye waaye majboori

Yeh peeran-e-kaleesa o haram, aye waaye majboori
Sila un ki kadd-o-kawish ka hai seenon ki be-noori.

Yaqeen paida kar ae nadan, yaqeen se haath aati hai
Woh darveshi ke jis ke samne jhukti hai faghfoori.

Had-e-idraak se baahir hain baatein ishq o masti ki
Samajh mein is qadar aaya ke dil ki maut hai doori.

 

Kabhi hairat, kabhi masti, kabhi aah-e-sehergahi
Badalta hai hazaron rang, mera dard-e-mehjoori.

Woh apne husn ki masti se hain majboor-e-pedai
Meri aankhon ki beenai mein hain asbaab-e-mastoori.

Koi taqdeer ki mantiq samajh sakta nahi warna
Na thay Turkhan-e-Usmani se kam Turkhan-e-Temoori.

 

Zamana dekhe ga jab mere dil se mahshar uthe ga guftagu ka

Zamana dekhe ga jab mere dil se mahshar uthe ga guftagu ka
Meri khamoshi nahi hai, gaye mazaar hai harf-e-arzu ka

Jo mauj darya lagi yeh kehne, safar se qaim hai shaan meri
Gohar yeh bola sadaf nishini hai mujh ko samaan aabroo ka

Na ho tabiyat hi jin ki qaabil, woh tarbiyat se nahi sanwartay
Hawa na sarsabz reh ke paani mein aaks-e-sarv-e-kinaara jo ka

 

Agar koi shay nahi hai panha, to kyun sarapa talash hoon main
Nigaah ko nazaraye ki tamanna hai, dil ko soda hai jastajoo ka

Chaman mein gulchein se gunchah kehta tha, itna be-dard kyun hai insaan
Teri nigaahon mein hai tabassum, shikasta hona mere saboo ka

 

 

Ae baad-e-saba! Kamli walay se jaa kehiyo paighaam mera

Ae baad-e-saba! Kamli walay se jaa kehiyo paighaam mera
Qabze se ummat bechaari ke deen bhi gaya, duniya bhi gayi

Yeh mauj-e-pareshan khatir ko paighaam lab-e-saahil ne diya
Hai door wisaal-e-bahr bhi, tu darya mein ghabra bhi gayi!

Izzat hai mohabbat ki qaim ae Qais! hijaab-e-mahmal se
Mahmal jo gaya izzat bhi gayi, ghairat bhi gayi, Layla bhi gayi

Ki tark-e-tag-o-do qatre ne to aabroo-e-gohar bhi mili
Aawargi-e-fitrat bhi gayi aur kashmakash-e-darya bhi gayi

Nikli to lab-e-Iqbal se hai, kya janiye kis ki hai yeh sada
Paighaam-e-sukoon pohancha bhi gayi, dil-e-mahfil ka tarpa bhi gayi