“Faqr ke hain mojzaat taaj o sareer o sipah

Faqr ke hain mojzaat taaj o sareer o sipah
Faqr hai meeroon ka meer, faqr hai shahoon ka shah


“Ilm ka maqsad hai paaki aqal o khirad
Faqr ka maqsad hai iffat e qalb o nigah”


“Ilm faqeeh o hakeem, faqr Maseeh o Kaleem
Ilm hai joya-e-raah, faqr hai dana-e-raah”

“Faqr maqam-e-nazar, ilm maqam-e-khabar
Faqr masti sawaab, ilm mein masti gunaah”

“Ilm ka maujood aur, faqr ka maujood aur
Ash-hadu an la ilah, ash-hadu an la ilah”

“Charhti hai jab faqr ki saan pe tegh-e-khudi
Ek sipahi ki zarb karti hai kaar-e-sipah”

“Dil agar is khaak mein zinda o bedaar ho
Teri nigah tod de aaeena-e-mehr o maah”

Parda chehre se utha, anjuman aarai kar

Parda chehre se utha, anjuman aarai kar
Chashm e mehr o meh o anjum ko tamashaai kar

Tu jo bijli hai to yeh chashmak-e-penhan kab tak
Be-hijabana mere dil se shanasai kar

Nafas-e-garm ki taseer hai aijaaz-e-hayaat
Tere seene mein agar hai to Maseehai kar

Kab talak Toor pe dariwaza-garmi misl-e-Kaleem
Apni hasti se ayaan shola-e-Seenaai kar

Ho teri khaak ke har zarray se taameer-e-haram
Dil ko begaana andaz-e-kaleesaai kar

Is gulistaan mein nahiin had se guzarna achha
Naaz bhi kar to ba-andaaz-e-ra’naai kar

Pehle khuddar to maanind-e-Sikandar ho le
Phir jahaan mein hawas-e-shaukat-e-daaraai kar

Mil hi jaayegi kabhi manzil-e-Laila Iqbal!
Koi din aur abhi baadiya-pemai kar

 

Karein ge ahl-e-nazar taaza bastiyan abaad

Karein ge ahl-e-nazar taaza bastiyan abaad
Meri nigah nahiin soe Koofa o Baghdaad

Yeh madrasa, yeh jawaan, yeh surur o ranai
Inhi ke dam se hai mai khana-e-Farang abaad

Na falsafi se, na mulla se hai ghraz mujh ko
Yeh dil ki maut, woh andesha o nazar ka fasaad

Faqih-e-shehr ki tahqeer kya majaal meri
Magar yeh baat ke main dhoondta hoon dil ki kashaad

Khareed sakte hain duniya mein ishrat-e-Parvez
Khuda ki dein hai sarmaaya-e-gham Farhad

Kiye hain faash ramooz-e-qalandari main ne
Ke fikr-e-madrasa o khanqah ho azaad

Rishi ke faaqon se toota na Barahman ka tilism
Asa na ho to Kaleemi hai kaar-e-bunyad

Har ek maqam se aage guzar gaya meh-e-nau

Har ek maqam se aage guzar gaya meh-e-nau
Kamaal kis ko mayassar hua hai be tag-o-do

Nafs ke zor se woh ghuncha wa hua bhi to kya
Jise naseeb nahin aftaab ka partao

Nigaah paak hai teri to paak hai dil bhi
Ke dil ko Haq ne kiya hai nigaah ka pairo

Panap saka na khayaabaan mein laala-e-dil soz
Ke saazgaar nahin yeh jahaan-e-gandum-o-jo

Rahe na Aibak o Ghori ke maarke baaqi
Hamesha taaza o sheereen hai naghma-e-Khusro

 

 

“ne mohra baqi ne mohra baazi

“ne mohra baqi ne mohra baazi
jeeta hai roomi haara hai raazi”

 

“roshan hai jaam e jamshaid ab tak
shahi nahin hai be shisha baazi”

 

 

“dil hai musalmaan mera na tera
tu bhi namaazi main bhi namaazi”

 

 

“main jaanta hoon anjaam uska
jis ma’rake mein mila hoon ghaazi”

 

 

turki bhi sheereen, taazi bhi sheereen
harf-e-mohabbat turki na taazi”

 

 

Yun to ae bazm-e-jahan! dilkash thay hungaamay teray

Yun to ae bazm-e-jahan! dilkash thay hungaamay teray
Ik zara afsurdagi teray tamashaion mein thi

 

Paa gayi aasoodegi kooye mohabbat mein woh khaak
Muddaton aawara jo hikmat ke sehrāon mein thi

 

Kis qadar ae mai! tujhe rasm-e-hijaab aayi pasand
Pardah angoor se nikli to meenaon mein thi

 

Husn ki taseer par ghalib na aa sakta tha ilm
Itni nadaani jahan ke saaray danaaon mein thi

Main ne ae Iqbal, Europe mein use dhoonda ‘abas
Baat jo Hindustan ke maah-e-seemaaon mein thi

 

“Khudi ki shokhi o tundi mein kibr o naaz nahi

Khudi ki shokhi o tundi mein kibr o naaz nahi
Jo naaz ho bhi to be lazzat e niyaz nahi”

“Nigaah-e-ishq dil-e-zinda ki talaash mein hai
Shikaar-e-murda sazaawaar-e-shaahbaaz nahi”

“Meri nava mein nahi hai adaaye mahboobi
Ke bang-e-soor-e-Sarafeel dilnawaaz nahi”

“Sawaal-e-mai na karoon saaqi-e-farang se main
Ke yeh tareeqah-e-rindaan paakbaaz nahi”

“Hui na aam jahaan mein kabhi hukoomat-e-ishq
Sabab yeh hai ke mohabbat zamaana saaz nahi”

“Ek iztiraab-e-musalsal ghayaab ho ke huzoor
Main khud kahoon to meri daastan daraaz nahi”

Dil murda dil nahin hai, isay zinda kar dobara

Dil murda dil nahin hai, isay zinda kar dobara
Ke yahi hai ummaton ke marz-e-kuhan ka chara

Tera bahr pur sukoon hai, yeh sukoon hai ya fasoohn hai?
Na nahang hai, na toofan, na kharabi kinara!

Tu zameer-e-aasman se abhi aashna nahin hai
Nahin beqaraar karta tujhe ghamza-e-sitara

 

 

Tere neistaan mein daala mere naghma-e-sehar ne
Meri khaak pa-e-supar mein jo nihaan tha ek sharaara

Nazar aayega usi ko yeh jahan-e-dosh-o-farda
Jisay aagayi mayassar meri shokhi-e-nazara

 

 

 

Maktabon mein kahin ranai-e-afkaar bhi hai

Maktabon mein kahin ranai-e-afkaar bhi hai
Khanqahon mein kahin lazat-e-asraar bhi hai

Manzil-e-rah rawaan door bhi, dushwaar bhi hai
Koi is qafila mein qafila saalar bhi hai

Barh ke Khyber se hai yeh ma’raka-e-deen-o-watan
Is zamane mein koi Haider-e-Karrar bhi hai

Ilm ki hadd se pare banda-e-momin ke liye
Lazzat-e-shauq bhi hai, naimat-e-deedaar bhi hai

Peer-e-maikhana yeh kehta hai ke aiwaan-e-farang
Sust buniyaad bhi hai, aaina-e-deewaar bhi ha