Muhabbat Poetry
Bhar kay daman muhabbat jo sb pay lutata hay
Wo apni hi Zaat e Wahid main tanha kiun reh jata hay
Read Best Urdu Shayari (Urdu Poetry)
Aaj dil bohat bhar aya hay
Najanay is ko kiya khayal aya hay
Tup Tup brasnay lga kiun pani hay
lagta hay isko koi shuks yad aya hay
Tou Jee lay jitna jeena hay banday akhir moot hay
Do din ki zindagi hay akhir moot hay
Hmesha ki zindagi jee pae ga tu kiya smjhta hay
Bewkoof kar lay naik amaal bs yehi mooqa hay
Kamyabi
kamyabi sirf jhuknay say hi nahin milti. kbhi kbhi app ko sir uthana prta hay apnay haq k lye.
Waqat
Bura waqat sub pr ata hai is liay us waqat ko nhi us waqat sy sekhay hway sabaq ko hmesha yad rakhna chaheay.
Waqat kaisa bhe ho guzar he jata hai lekin waqat ky sath bdalta logon ka andaz jeeny ka hunar sekha jata hai.
Thokar kha kr girna insan k guman mai nhi hota magar gir k uthna hr insan k ikhtyar mai hota hai
log to badal jaty hain mosmon ke trha magar rehmaty Khuda hmesha sath rehti hai sans ke trhan.
Kisi ke yad mai amsoo na bahao apny rab sy lo lagao log to milty he ak din chor jany k liay hain pr agr rab mil jaye to sans k rukny k bad bhe sath nhi chorta.
Hazrat Ali Quotes
<
p style=”text-align: center;”>agr tum us waqat muskura skty ho jb tum puri trha toot chuky ho to yakeen jano dunya mai tumhein koi nhi hra skta.
Teray bgher Pakistan ka wajood tha kahan
teri anthak koshishon say bana Pakistan
Kay herat say dekhta raha tujhay jahan
Ae meray Jinah Ae meray Jinah
Aaj tou hota to Pakistan arsh ka sitara hota
kartay sb tujhay payar tu millat ka sitara hota
Ae meray Jinah Ae meray Jinah
Mulk ki khatir barh barh lara tu aghyar say
kabhi ki na muhabbat dayar e ghair say
Ae meray Jinah Ae meray Jinah
Pesh karti hay salam tujhay Noor e Akhter
Khuda karay tujh pay har dam pholon ki barsaat hoti rahay
Ae meray Jinah Ae meray Jinah
Aao sub mil kr dushman kay iraadun ko khaak main milao
Lehlhati rhain faslain or aabad rahain khait dam banao dam banao
koi na rahay bhooka piyasa meri arz e Pak main
Aao mil kr sab ki piyaas bhujao dam banao dam banao
Khuddar qoumain kab dushman say dara kartin hain
Watan ki khatir lar mar jao, dam banao dam banao
kuch apnun nay hmaray kiya hay dushman kay agenday pay kam
Yukbar mil kar saray mun pay inkay chapat lagao dam banao dam banao
Kala Bagh bhi bnay ga, Muhmand Dam or Diya Meer Bhasha Dam bhi bnay ga
Lo tum bhi dushman ko dikhao dam banao dam banao
milay ga sab ko saaf pani bs apna tan man dhan lgao
Kehti hay ye adliya hmari aagay aao dam banao dam banao
kehtay hain bd-dimagh chanday say kiya dam bnay ga
aao mil kar saray unki watt lgao Dam banao dam banao
Kehti hay Noor e Akhter ghar ghar say chanday tum mngwao
qatray qatray say mil kar bnain hain darya saray tum bhi dam banao dam banao
Agar app sahi rastay pr hain to app ko bohat say logun ka ikhtllaf sehna pre ga. takleef tab ho gi jb ikhtlaf wo log kren ge jin k lye app lar rahay hain
You can read many other like this from the the link given below.
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya
Bacha Bacha muskuraya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya
Hazoor (SAW) ae to beqrarun ko qarar aya
Fizza ho gai muattar muattar arsh pay Noor ka haala chaya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Khuda ki Khudai ko aam krne wala aaya
ungli kay ishaarun say chaand tornay wala aaya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Imaan ki jaan or arsh ka mehmaan aaya
Tamam anbiya ki imamat wala aaya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Karti hay ye dua Noor Akhter
baksh day Khuda sadqay main Nabi SAW kay
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Kiya Tareef bayan krun main teri Iqbal hamaray
sab maqrooz hain teray ye Pakistani saray
Khuda karay teray is khawab ko kabhi Fanah na ho
Jab tak chal rahay hain i dunya kay nizam saray
Hasil kiya Qauid ne ye mulk is khawab kay saharay
ura diye sab hawa main dushmanon kay gharoor kay ghubaray
Shayari thi teri ya nagenay lari main piroye thay saray
Khuda rutbay buland karay teray bahisht main aey Iqbal hamaray
Karti hay dua Noor e Akhter har dam hath pisaray
Khudaya poray hon sab khawab jo dekhay Iqbal nay hamaray