Sad Poetry in Urdu
Kiya mila hmain kisi ko sanwar kr nikhar kr
hum to chlay jaen gay dukhun kay din guzar kar
Dunya main kab pyar k badlay piyar milta hay
daikh chukay hum to hr rishta nata aazma kar
Read Best Urdu Shayari (Urdu Poetry)
Kiya mila hmain kisi ko sanwar kr nikhar kr
hum to chlay jaen gay dukhun kay din guzar kar
Dunya main kab pyar k badlay piyar milta hay
daikh chukay hum to hr rishta nata aazma kar
Barha di gai hay Chamak ziya o aftab ki
Falak kay konay konay say aa rahi hay sada Labaik Labaik ki
Khushi chalak rahi hay malaika ki hr qitar ki
Dua hay deedar e Noor say munawar hon aankhen k had ho gai intzaar ki
Mudattun say trap raha hay flak bosay ko naalain Pak (SAW) ki
Ho gai mehboob ki mehboob say mulaqat kiun kay aj shab hay mairaj ki
Fiza ho gai khushgwar dunya o aasman dunya o aasman ki
khatam honay ko hain ghariyan intzaar ki
Qismat chamak uthi ik borhay buraq ki
kay shiddat say thi aas us kay dil main deedar ki
Mudattun say tarap rhi hay Noor e Akhter dekhnay ko jhalak Shah Taaj (SAW) ki
krain dua sb mil kr kay tamana ho pori kiun kay aaj hay shab mairaj ki
Meri ankhon ka tara meray dil ka saroor
Yhi meri pehchan yahi meri shaan
Zindabad Pakistan bs mera Pakistan
Taees (23) March hai rooh is ke hai choda (14) August wajood
ALLAH kray dunya k naqshay pr ta qayamat rhay mojood
Zindabad Pakistan bus mera Pakistan
Dushmnany Pakistan jaltay rhain gay ta qayamat
Rhay ga sir buland parchma-y sitara o halal ta qayamat
Zindabad Pakistan bs mera Pakistan
IN SHA ALLAH khushiun k diye jaltay rhain gay
14 August o Youm e Pakistan hm mnatay rhain gay
Zindabad Pakistan bs mera Pakistan
Mil jul kr ehad uthao iski sirbulandi kay liye qadam barhao
Dushmnany watan ko mar bhgao apnay watan ky nagmy gao
Zindabad Pakistan bs mera Pakistan
Iqbal ka hay sucha khawab or Quaid ki hay jan
Kehti hay Noor-e-Akhter is pay waro tan man dhan jan
Zindabad Pakistan bus mera Pakistan
Parh Parh kuch log zindagi kharab krtay hain
jo nahin parhtay WALLAH wo kamal krtay hain
Parh lo Parh lo khta hay hr koi hum say
Pr hum bhi dheet hain khan kisi ka khayal kartay hain
Jung Kis maslay ka hal hay socho zra
aman jung say behtar hay smjho zra
larna kam hay jungli drindun ka socho zra
Sulah bhtr hay lrai sau naadanun smjho zra
jb sharm o haya say mar jata hay insaan to phir
kiun bnae bomb itnay marnay ko isay smjho zra
kiun bhatay ho khoon bat bat pr socho zra
nasl e Adam k khoon ka rang aik hay smjho zra
Kiun bhaint charh rahay hain jawan socho zra
sb maaun kay matam ka treqa aik hay smjho zra
jin kay kho gae laal unsay pocho zra
jeenay ki umar main so jatay hain matti main kiun
sokhay hont pait say bhookay tn say nangay dekho zra
bina kisi ghar kay jhailtay hain mosmun ki tmazat smjho zra
Footpath pr bhookay nangay jitnay hain ye apnay hain dekho zra
ik choonti ka bhi drakht ki kho main ghar hay pr inka kiun nahin smjho zra
pait say bhookay foji kay hath main hathyar dekho zra
karnay ko Jung kay lawazmat poray hathun main hain kashkol kiun socho zra
Maqsad Kiya hay Hasti ka Noor Akhter socho zra
Kis bina pay afzal hay insan samjho zra
Bachpan main rahay hum manind e shehanshah
bhagay phiray hum moj main har jah
har sinf e nazuk hmain galay say lagati thi apna samujh kar
bosa leti thi hmara wo hans hans kar
dukh to hay hmara jab say huway jawan hum
ab wohi sinf e nazuk mor leti hay munh praya smujh kar
Zindagi Talib ilmun ka ik imtehan hay imtehan
Jahan prhna mushkil ganay sunna asan hay asan
har waqt prhna bs wabal e jan hay wabal e jan
subha o sham filmain dekhna bohat asan hay asan
Aaj dil bohat bhar aya hay
Najanay is ko kiya khayal aya hay
Tup Tup brasnay lga kiun pani hay
lagta hay isko koi shuks yad aya hay