Iqbal poetry
Khurad ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi,
Tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi.
Har ek maqam se aage maqam hai tera,
Hayat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi.
Giraan baha hai tu hifz-e-khudi se hai warna,
Gahr mein aab-e-gahr ke siwa kuch aur nahi.
Ragon mein gardish-e-khoon hai agar to kya hasil,
Hayat sooz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi.