Eid Thi 2020 ki udasi wali

Eid Shayari

Ab kay bars yeh kaise Eid ae .

qasir rahe milne sey behan or bhai.

Ilahi! alam-e-fani may shamat yeh kaise aae.

Nafsi Nafsi key har taraf pari dohae.

Hae jadeed science bhi kam na aae.

marte hoe pidar ki na suni kise nay duhai.

Noor Akhter Bashar key yeh kaise sorat ubhar aae.

Afaqi baliyat nay bashar key gardan urae.

 

Wafa

wafa
wafa

Wafa

Wafa ka jwab hum dein wafa sy

Mumkinat mai asa to zaror ho skta hai

Pr tum wafa ky badly karo wafa hum sy

Asa hadsa kab mumkin ho skta hai

Chalti hwaon ke trha gungunain hum

Parindo ke trha chehchain hum

Asa to ho skta hai!

Pholon ke trha khud ko mehkao tum

Asa mojza kb ho skta hai

Nekian kr k dal do darya mai Noor Akhter

Wo dubaye na tumhy beech majhdar

Asa kb ho skta ha

Janat Ke Tasveer Mera Kashmir

Janat Ke Tasveer Mera Kashmir

janat ke tasveer mera kashmir

Jannat Ke Tasveer Mera Kashmir

Khudaya q lahu lahu hai janat ke tasveer

Mar k aprezadaon ko phir rhy hain khinzeer

Kl khushian the jahan aj safy matam hai ja bja

Har maa bani hai ja bja zinda lash ke tasveer

Q pamal ho rhi hain ismtain huron ke

Gray o Black list waly kahan mar gye sur veer

Har soo lagi hai aag jahanum ke tasveer bna ab Kashmir

Elahi meta k Kashmir k sub yazeed badal dy taqdeer

Kehti hai Noor Akhter utha lo sub Haderi shamsher

Ye sara Kashmir ab bany ga Pakistan ke taqdeer

 

 

Ramzan ki Dua

Roza Rkhnay ki Dua

وَبِصَوْمِ غَدٍ نَّوَيْتُ مِنْ شَهْرِ رَمَضَانَ.

Urdu Translation:

“Or Main nay Mah e Ramzan kay kal kay Rozay ki neyat ki”

Roza rkhnay ke dua

Roza Kholnay Kia Dua

اَللّٰهُمَّ اِنِّی لَکَ صُمْتُ وَبِکَ اٰمَنْتُ وَعَلَيْکَ تَوَکَّلْتُ وَعَلٰی رِزْقِکَ اَفْطَرْتُ

Urdu Translation:

“Ae Allah main nay teri khatir roza rakha or tere oper imaan laya or tujh pr bharosa kia or teray rizq say isay khola rha hon”

Roza Kholnay Kia Dua

Phlay ashray ki Dua

رَبِّ اغْفِرْ وَارْحَمْ وَأَنْتَ خَيْرُ الرَّاحِمِينَ

Urdu Translation:
“Ae meray Rab ! Tu Buksh or Reham kr or tu sb mehrbanon say behtar meharbani krnay wala hay”.

Phlay ashray ki Dua

Dosray Ashray Ki Dua

.أسْتَغْفِرُ اللهَ رَبي مِنْ كُلِ ذَنبٍ وَأتُوبُ إلَيهِ

Urdu Translation:
“Main Allah say tmam Gunaho ki Bakhshish manga / mangti hon jo mera rab hay or main usi ki traf rijoh karta / karti hon”

Dosray Ashray Ki Dua

 Akhri Ashray Ki Dua

اللَّهُمَّ إِنَّكَ عَفُوٌّ تُحِبُّ الْعَفْوَ فَاعْفُ عَنِّي

Urdu Translation: 

“Ae Allah bayshak tu maaf krnay wala hay maaf krnay ko pasand krta hay pas hmain maaf farma dey”

Akhri Ashray Ki Dua