Nahin aate humein is mein takraar kya thi

Nahin aate humein is mein takraar kya thi Magar wada karte hue aabroo kya thi

Tumhare paami ne sab raaz khola Khata ismein bande ki sarkar kya thi

Bhari bazm mein apne aashiq ko taara Teri aankh masti mein hoshiyar kya thi

Taa’mul to tha unko aane mein qasid Magar yeh bata tarz inkaar kya thi

Khiche khud bakhud jaanib-e-toor Musa Kashish teri aye shauq-e-deedaar kya thi

Kahin zikr rehta hai Iqbal tera Fasoon tha koi teri guftaar kya thi

 

Leave a Reply