Naala hai bulbul shorida tera khaam abhi

Naala hai bulbul shorida tera khaam abhi Apne seenay mein ise aur zara thaam abhi

Pukhta hoti hai agar maslahat andesh ho aqal Ishq ho maslahat andesh to hai khaam abhi

Bekhatar kood pada aatish-e Namrood mein ishq Aqal hai mehvo-e tamasha-e lab-e baam abhi

 

Ishq farmooda-e qasid se sabuk gaam-e amal Aqal samjhi hi nahi ma’ni-e paighaam abhi

Shivay-e ishq hai azadi o dahr aashoobi Tu hai zanari-e but khanay-e ayaam abhi

Uzr-e parhez pe kehta hai bigad kar saaqi Hai tere dil mein wahi kaawish anjaam abhi

Sa’i-e paiman hai tarazu-e kam o kaif hayat Teri mizaan hai shumar-e seher o shaam abhi

Abr-e naysan yeh tankh bakhshi-e shabnam kab tak Mere kehsaar ke laalay hain tehi jaam abhi

 

Bada gardaan-e ajam woh arabi meri sharab Mere saaghar se jhijakte hain mei aasham abhi

Khabar Iqbal ki laaye hai gulistan se naseem Nau girftar phadakta hai teh daam abhi

 

Leave a Reply