Mujhe aah o faghān neem shab ka phir paighām āyā

Mujhe aah o faghān neem shab ka phir paighām āyā
Tham ae rah roo, ke shayad phir koi mushkil maqām āyā

Zara taqdeer ki gehraiyon mein doob ja to bhi
Ke is jangaah se main ban ke tegh be niyam āyā

Yeh misra likh diya kis shauk ne mihrab masjid par
Yeh nadān gir gaye sajdon mein jab waqt-e-qiyām āyā

Chal ae meri gharibī ka tamāsha dekhne wale
Woh mehfil uṭh gayi jis dam tu mujh tak door jām āyā

Diya Iqbal ne Hindi Musalmanon ko sooz apna
Yeh ek mard-e-tan aasan tha tan aasano ke kaam āyā

Usi Iqbal ki main jostuju karta raha barson
Bari muddat ke baad aakhir woh shaheen zair-e-dām āyā

 

Leave a Reply