Meri nawa se hue zinda aaref o aami

Meri nawa se hue zinda aaref o aami
Diya hai maine unhein zauq-e-aatish-e-aashaami

Haram ke paas koi ajami hai zamzama sanj
Ke taar taar hue jaamaaye ehraami

Haqeeqat-e-abadi hai maqam-e-shabeeri
Badalte rahte hain andaaz-e-koofi o shaami

Mujhe yeh dar hai maqamir hain pukhta kaar bahut
Na rang laaye kahin tere haath ki khaami

Ajab nahin ke Musalman ko phir ata kar dein
Shikvah-e-Sanjar o fiqr-e-Junaid o Bastami

 

Qabaaye ilm o hunar lutf-e-khaas hai warna
Teri nigah mein thi meri na khush andaami

 

 

Leave a Reply