Majnoon ne sheher chhoda to sahra bhi chhod de

Majnoon ne sheher chhoda to sahra bhi chhod de
Nazaray ki haus ho to Layla bhi chhod de

Waiz kamal-e-tark se milti hai yahan muraad
Duniya jo chhod di hai to aakhiraat bhi chhod de

Taqleed ki raah se to behtar hai khudkushi
Rasta bhi dhoond Khizr ka, soda bhi chhod de

Maanand-e-khaama teri zubaan par hai harf-e-ghair
Be-gaana shay pe naazish be-ja bhi chhod de

Lutf-e-kalaam kya jo na ho dil mein dard-e-ishq
Basmal nahi hai to tu tadapna bhi chhod de

Shabnam ki tarah phoolon pe ro aur chaman se chal
Is bagh mein qiyaam ka soda bhi chhod de

Hai aashiqi mein rasam alag sab se baithna
But-khana bhi haram bhi kaleesa bhi chhod de

 

 

Leave a Reply