Iqbal poetry: Khurad ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi,

Iqbal poetry

Khurad ke paas khabar ke siwa kuch aur nahi,
Tera ilaj nazar ke siwa kuch aur nahi.

Har ek maqam se aage maqam hai tera,
Hayat zauq-e-safar ke siwa kuch aur nahi.

 

Giraan baha hai tu hifz-e-khudi se hai warna,
Gahr mein aab-e-gahr ke siwa kuch aur nahi.

Ragon mein gardish-e-khoon hai agar to kya hasil,
Hayat sooz-e-jigar ke siwa kuch aur nahi.

Leave a Reply