Kho na ja is seher-o-shaam mein ae saahib-e-hosh

Kho na ja is seher-o-shaam mein ae saahib-e-hosh
Ek jahaan aur bhi hai jismein na farda hai na dosh

Kis ko maloom hai hungaama-e-farda ka maqaam
Masjid o maktab o mekhana hain muddat se khamosh

Maine paaya hai use ashk-e-sehergaahi mein
Jis dar-e-naab se khaali hai sadaf ki aaghosh

Nai tehzeeb takalluf ke siwa kuch bhi nahi
Chehra roshan ho to kya haajat-e-gulgoona farosh

Saahib-e-saaz ko laazim hai ke ghaafil na rahe
Gaah-e-gaah-e ghalat aahang bhi hota hai suraash

 

Leave a Reply