Khird ne mujh ko ata ki nazar hakeemana
Sikhayi ishq ne mujh ko hadees rindaana
Na baadah hai na suraahi na dour paimana
Faqat nigah se rangeen hai bazm jaanana
Meri nawaye pareshan ko shaayari na samajh
Ke main hoon mahram-e-raaz daroon-e-maikhana
Kali ko dekh ke hai tashna-e-naseem-e-sehar
Isi mein hai mere dil ka tamaam afsana
Koi bataye mujhe yeh ghayab hai ke huzoor
Sab aashna hain yahan, ek main hoon begaana
Farang mein koi din aur bhi thehar jaaun
Mere junoon ko sambhale agar yeh veerana