Isko juda hue bhi zamana bohot hua
Ab kya kahen, yeh qissa purana bohot hua
Dhalti nah thi kisi bhi jutn se shab-e-firaaq
Ae marg-e-naagahaan, tera aana bohot hua
Hum khuld se nikal to gaye hain par ae Khuda
Itne se waqiya ka fasana bohot hua
Ab hum hain aur saare zamane ki dushmani
Is se zara sa rabt badhana bohot hua
Ab kyun na zindagi pe mohabbat ko waar den
Is aashiqi mein jaan se jaana bohot hua
Ab tak to dil ka dil se taa’aruf na ho saka
Maana ke is se milna milana bohot hua
Kya kya na hum kharab hue hain magar yeh dil
Ae yaad-e-yaar, tera thikana bohot hua
Kehta tha nasihon se mere munh na aaiyo
Phir kya tha ek ho ka bahaana bohot hua
Lo phir tere labon pe isi be-wafa ka zikr
Ahmad Faraz, tujh se kaha na bohot hua
4o mini