Ilahi aqal khajista pay ko zara si deewangi sikha de,

Ilahi aqal khajista pay ko zara si deewangi sikha de,
Use hai soda-e-bakhia kaari, mujhe sar-e-perahan nahi hai.

Mila mohabbat ka soz mujh ko to bole subh-e-azal farishte,
Misaal-e-shama mazar hai tu, teri koi anjuman nahi hai.

Yahan kahan hum-nafas mayassar, yeh des na-asha’na hai aye dil!
Woh cheez to mangta hai mujh se ke zair-e-charkh-e-kohan nahi hai.

 

Nirala saare jahan se us ko Arab ke mi’maar ne banaya,
Bana hamare hisaar-e-millat ki ittehad-e-watan nahi hai.

 

Kahan ka aana, kahan ka jana, fareb hai imtiaz-e-uqba,
Namood har shay mein hai hamari, kahin hamara watan nahi hai.

Mudeer ‘Makhzan’ se koi Iqbal ja ke mera paigham keh de,
Jo kaam kuch kar rahi hain qaumein, unhein mazaq-e-sukhan nahi hai

Leave a Reply