Hawa Ki Beti
Kia hay ye hawa ki beti
Dekho kesi hans kay kantun pay leti
pidar nay na sajan nay kabhi apnaya isko
Kaha madir nay kay agla ghar hay tera beti
par whan bhi dekha dehliz kay bahir hay beti
Sajan nay kamyabi ka Zeena banaya isko
pohncha jo bulandiyon par harf e teen ka nezah dekhaya isko
Ab kiya karay Hawa ki Beti
Nangay sir hay Hawa ki Beti
Haq nay beti ko kiun bnaya Noor e Akhter
Bhar kay dukhun gi aag senay main
Jannat ka label bhi lgaya is par
Kiya hay ye hawa ki beti
Dekho kesay Hans kay kantun pay leti
Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.