Ek danish noorani, ek danish burhani

Ek danish noorani, ek danish burhani
Hai danish burhani, hairat ki frawani.

 

Is paikar khaki mein ek shay hai, so woh teri
Mere liye mushkil hai, is shay ki nigahbani.

Tere bhi sanam khāne, mere bhi sanam khāne
Dono ke sanam khāki, dono ke sanam fānī.

 

 

Ho naqsh agar bātil, takrār se kyā hasil
Kya tujh ko khush ātī hai ādam ki yeh arzānī?

Mujh ko to sikhā di hai Afrang ne zindiqi
Is dor ke milā hain kyun nang Muslimānī?
Taqdeer shikan quwat bāqi hai abhi is mein
Nādan jise kehte hain, taqdeer ka zindānī

Leave a Reply