Dukh fasana nahi ke tujh se kahen

Dukh fasana nahi ke tujh se kahen
Dil bhi maana nahi ke tujh se kahen

Aaj tak apni baykali ka sabab
Khud bhi jaana nahi ke tujh se kahen

Be tarah haal-e-dil hai aur tujh se
Dostana nahi ke tujh se kahen

Ek to harf aashna tha magar
Ab zamana nahi ke tujh se kahen

Qasida hum faqeer logon ka
Ek thikana nahi ke tujh se kahen

Ae Khuda dard-e-dil hai bakhshish-e-doost
Aab-o-dana nahi ke tujh se kahen

Ab to apna bhi is gali mein, Faraz
Aana jaana nahi ke tujh se kahen