Dost ban kar bhi nahi saath nibhaane wala
Wohi andaaz hai zalim ka zamane wala
Ab use log samajhte hain giraftar mera
Sakht naadam hai mujhe daam mein laane wala
Subah dam chhod gaya nikhat-e-gul ki soorat
Raat ko gunchay-e-dil mein simat aane wala
Kya kahin kitne marasim the hamare is se
Woh jo ek shakhs hai munh pher ke jaane wala
Tere hote hue aa jaati thi saari duniya
Aaj tanha hoon to koi nahi aane wala
Muntazir kis ka hoon tooti hui dehleez pe main
Koon aaye ga yahan, koon hai aane wala
Kya khabar thi jo meri jaan mein ghula hai itna
Hai wohi mujh ko sardaar bhi laane wala
Maine dekha hai bahaaron mein chaman ko jalte
Hai koi khwab ki tabeer batane wala
Tum takalluf ko bhi ikhlaas samajhte ho Faraaz
Dost hota nahi har haath milane wala