Urdu Funny Poetry on Students – Hum Student na hotay to..

Urdu Funny Poetry on Students

urdu Funny poetry on students
urdu Funny poetry on students

Hum Students na hotay to

Hum Student na hotay to rutbay main kuch or hotay 

Kisi khobsorat larki kay shohar e namdar or chotay chotay bachun k aba hotay

Bay nami ki zindagi guzar rahain hain hm subha sham 

student na hotay to jejah e namdar hotay

dukh hmara yhi to he koi sunta nahin hmari

baray bzurg kehtay hain parh lo zindagi sanwar jae gi tmhri 

 

Election 2021

                   Election 2021

Election ae election ae.

Sayasatdano nay apnay apnay lotay dorae.

Dikha kay rang barangay khawab gharib awam ko

Ban kay wazir-e-Azam isi awam ka mal-o-izat khae.

Election Ae Election Ae.

Beth kay jail main kisi bhi soobay ka mayor ban jae.

Aj ka mujrim kal ka Wazir-e-Azam kaisay ban jae.

Loot rahay hain jo mulk-o-quom ko phir bhi ghadar-e-watan na kehlae.

Election ae Election ae.

Baich rahay hain bachay apnay ghurbat kay satae.

20 sal ki bachi 80 saal kay borhay say kaisay biyahe.

Phir kiun Wazir-e-Azam key baiti 70 hazar key jotay paon main charhae.

Baith kay jail may naiki ka parchar ban kar dikhae.

Election ae Election ae.

Baryani ki plate par khuda karay koi vote na dalwae.

Baryani ki aik plate kay pechay panch saal qoum or mulk ki azmat khae

Rehti hay Noor-e-Akhtar kay laboon par har dam ye dua.

Khudaya sher,kursi,lootay,krain,bula,patang sab k nishano say bachae.

Hae kyun Election ae Hae kyun Election aye.


 

Alwida Mah-e-Ramzan ( Ramadan)

Alwida Mah-e-Ramadan

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

Tere amad say roshan hoa tha kon-o-makan

Bazm-o-iftar ki mehfilain sajin thin ja baja.

Ab ja raha hay to suna hay yeh jahan.

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

alwida mah e ramzan

Ta qayamat rahay ga tera ana jana.

Faiz pata rhay ga sara zamana.

Kiya bharosa sansoon ki lri ka.

Aglay baras kahan ho ga mera thikana.

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

juma tul wida

Mah-e-Ramzan ik karam mujh par farmana.

Hashar kay din mujh ko bakshwana.

Dena gawahi yeh mera tha dewana.

Baksh do is ko jannat ka khazana.

Alwida Alwida mah-e-Ramzan.

ramzan poetry

Aansoun key jhari lag gae ha.

Ah Noor-e-Akhtar dil pay gham ka ghalba chaya hua ha.

Mah-e-Ramzan ab rukhsat ko aya hua ha….

 


     

<

p style=”text-align: center;”>