Sar e Aaina ….
Ehsasat kay farq bhi bohat maani rakhtay hain
Kabhi sar e aaina rehna acha lagta tha ab pas e aaina rehna bhla lagta hay
Zindagi Talib ilmun ka ik imtehan hay imtehan
Jahan prhna mushkil ganay sunna asan hay asan
har waqt prhna bs wabal e jan hay wabal e jan
subha o sham filmain dekhna bohat asan hay asan
Aaj dil bohat bhar aya hay
Najanay is ko kiya khayal aya hay
Tup Tup brasnay lga kiun pani hay
lagta hay isko koi shuks yad aya hay
Tou Jee lay jitna jeena hay banday akhir moot hay
Do din ki zindagi hay akhir moot hay
Hmesha ki zindagi jee pae ga tu kiya smjhta hay
Bewkoof kar lay naik amaal bs yehi mooqa hay
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya
Bacha Bacha muskuraya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya
Hazoor (SAW) ae to beqrarun ko qarar aya
Fizza ho gai muattar muattar arsh pay Noor ka haala chaya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Khuda ki Khudai ko aam krne wala aaya
ungli kay ishaarun say chaand tornay wala aaya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Imaan ki jaan or arsh ka mehmaan aaya
Tamam anbiya ki imamat wala aaya
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Karti hay ye dua Noor Akhter
baksh day Khuda sadqay main Nabi SAW kay
Eid Milad un Nabi (SAW) ka din aaya kesa Noor chaaya
Muhabbat kabhi thi muhabbat ab to tijarat hoti hay
Day kay hawas ko muhabbat ka naam yay tijarat khulay aam hoti hay
shayad muhabbat kay nam ko jana nahin hum nay
Iski paki or taqadus ko pehchana nahin hum nay
Neki asal-e-hayat ha Nabi (S.A.W) ka pegham yeh batata hay
Karo jis say neki us kay shar say bacho Hazrat Ali (R.A) kay qoul say jana hum nay
Karo neki or darya may daal do yeh bazargon say seekha hum nay
Phir aksar neki karnay walon ko darya burd hotay bhi daikha hum nay
Yehy sooch kar guzar jati hain shab-o-roz Noor-e-Akhtar
<
p style=”text-align: center;”> Kay ghor andheray may phir umeed ka ik diya zaroor jalata hay
Khuda karay dunya e Arz aesa ho jae
kay shoolay bhi bhuj jaen or dhuwan bhi na uthay
Husn or ishq dono sath sath hain
Kisi aik ko bhi sarf-e-nazar krun ajeeb si bat hy
Tu haseen he or tujh se ishq hay sadi si bat hy