Mera Watan Pyara Watan, Mera Watan Mera pyara des

Mera Watan Pyara Watan, Mera Watan Mera pyara des

Mera Watan Pyara Watan, Mera Watan Mera pyara dais

mera watan mera piyara dais

puri duniya main hay jannat ka bhais

ye Iqbai ka hay ik khawab

jis khwab ko Quid nay haqeqat kar dala

yhan ka har ik basi tha muhabbat wala

na janay kis shetan nay dilun say muhabbat ko nikala                                   is kay dahkanun kay chamaktay sunehray badan

watan ki baqa ko laga daitay hain apna tan man dhan

chand aur sitara hay pehchan is ki

awla riwayat  o awla iqdar hain pehchan is ki

mera dais hay waliun aur oliya Allah ki duaon ka samar

dunya min hay aesa jaisay asman pay chamakta shams o qamar

is dharti kay sufi bazurg hain shan is ki

data Gunj Buksh aur Data Gunj e Shakr hain jan is ki

Faisal Masjid, BadShahi Masjid buland o bala Minar e Pakistan

ye sab hain is ki muhabbat o azmat kay nishan

har ayar o maqar ki chaal is ko mitanay ki hay koshish karti

is Jannat ko panay kay liye aqwam e alam hay marti

is ki rakhwali kartay hain maaun kay bahadur saput

in kay kadmu ki chapun say dushman pay cha jae saqut

abhi kal ki bat hay jab Pakistan tha bana

har anay wala ik dojay ka sahara tha bana

daal kay hathun main hath muhabbatun ka istaara bana

qatra qatra muhabbat mila kar Pakistan hay bana

Khuda karay kay meray watan baharun ko kisi ki nazar na lagay

kiun kay mera watan muhabbatun kay gulzaar khilanay k liye hay bana

aur khuda karay kay meray watan k ufaq par wo roshan chand ujagar ho jae

kay aesi roshaniun ko ujagar karnay ko mera watan hay bnaa

karti he ye dua Noor e Akhter

 har dam qayamat tak rkhna Allah is ko shad o abad

Aey qoum kay saputo hmesha sambhal k rakhna ye naiyaa

kay mushkilun k bhanwar se ise nikal kay laey hain khawiyya

 

Poetry on kashmir | Ae Mere Kashmir Ae Jannat Nazeer

AE MERE KASHMIR AE JANNAT NAZEER

Kiya tareef karein hum teri aey Janat-e-nazeer.

Haseen nazary hain jo teray aei wadi-e-benazeer

Aey meray kashmir ae meray Kashmir

Wo neel go Banjosah kay behtay huay pani kay jaltarang

Wo rangeen pholon ki mehmeez karti khushbo jis ki nahin koi nazeer

Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir         

 

Rang karti hay mujhay har dam rangat e shagr-e-qail

Or  sabz libas pay orhay sufaid pala posh wo koh-e-rangan

Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir

Behtay jharano ki matloon lehron kay sath surmae shamain

Wo mosam-e-khizan main jhariun ka rang-e-tarekhi or rang-e-khakstar

 Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir

Yaad ati hay tip tip karti barsati sham main daal or chawal ki khushbo

Wo alal subh munjmid pani may urti bhap kay murgholay jheel par

Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir

Dha raha hay zulm tujh par dushman matwatar or bila tarteeb

Kya khoob ro nojawan thay mar gai jin ko zulm ki zangeer

Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir

     Ab rhin na jin kay sar par chadrain izatain huin pamaal            

Hae wo jannat ki thin pariyan haya-o-paki thi jin ki jageer

Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir

Tujh say wada hay azad karwaen gay ik din

Aesi mar marein gay kay dushman bhi ho jae ga dil geer

Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir

Yeh jabr-e-musalsal amun kay thaikay daron ko nazar kyu nahi ata

Kyu ho gae hain gongy behray ya ho gai hain in ki ankhain be noor

Aey meray Kashmir Ae mere Kashmir

Karti hay dua Noor-e-Akhtar har dum

Badal day ab to Kashmir ki taqdeer

Utho Kashmiriyo mujahido or utho ae Burhan wani

Apnay inhi hathon say laga kar kari zarab tor do zulm ki zangir

       Aey meray Kashmir Aey meray Kashmir       

Noor-e-Akhtar ki ankhon  may samae rehti hay bas ik tasveer

Lo ho gya azad Kashmir Lo ho gya azad Kashmir…..

 

 


Best Love Story Poem -Valentine day shayari- RAJA RANI

Raja Rani

Ao sunaun my tumhay aik kahani       

Ik gaon main ik larki thi

Bharpor thi us ki jawani nam tha us ka rani

Aik larka hoa us ka dewana

Soorat jiski jani pehchani

Khaitoon kay kinaray Darakhton kay sae may

Ghanton kartay rahay wo batein jani anjani

Ik din kaha ye larkay nay

Kar iqrar meri dilbar rani

Main banun ga tera raja tu bnay gi meri rani

Par taqdeer ka likha kis nay dekha kis nay kismat jani

Toota dhaga qismat ka wo bani kisi or ki dilbar jani

Larka bhi hoa majboor

Pari us ko bhi kisi or kay liye sej sajani

Taqdeer say hoa jo ik din amna samna

TO ankhon ankhon main kahi apni kahani

Phir jo waqt tanhai ka paya

Dono nay ik dosray ko dhukra keh sunaya

Main bani maa panch bachon ki

Bata to nay kaya karnama farmaya

Pehlay pehal to wo muskraya phir yeh farmaya

Taqdeer nay likhi mere hathon may teen bachon ki parwarish

Karti hay yay dua Noor e Akhter

Kay apnay apnay rishtay nibhain yay raja or rani

Jo Rab nay faisla kar dia wo maan jaen ye raja or rani

 


Urdu Poetry about Life – HAIRAT KDA

urdu poetry about life                             Hairat Kda

Ae gardish e aflaak zara thehar may kuch soch rahi hon

Badalta hai rang kiya nigar khana jahan ye dekh rahi hun

Yeh dunya ik hairat kada hai or may hairat zada hun

Kat raha gala kabhi madar  ka sapoot say yeh dekh rahi hun

Dunya ki hirs o tamana ka yeh alam ha to akhrat kya ho gi

Lagwa raha ha boli yahan asmat ki pidar kya kya yeh dekh rahi hun

Kar raha ha kartab kiya kiya hazrat-e-insan kay shaitan bhi sharmae

kho kay ghairat apni hi maa jae ko lootay or lutwaey

Kash hazrat-e-insaan ko apni qadar maloom ho jae

Karta kitna payar Haq un say ae Noor-e-Akhtar yeh jaan kar

Sharam say mar na jae insaan yeh soch rahi hun…….

 



Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

 

Hazoor (S.A.W) say MUHABBAT Poetry by Noor Akhter

Meem say Muhabbat

Hazoor SAW say muhabbat Poetry

Ik din nam e Muhammad (S.A.W) pay ghor kiya hum nay

Meem se muhabbat to ism e Muhammad (S.A.W) ko bhi meem say paya hum nay

Is Muhabbat ki ibtida to khud Khuda nay ki

Jab nam e Muhammad (S.A.W) may khuda ko khoya paya hum nay

day kay Musalmano ko umati ka laqab

Makhloq say muhabbat karnay ka bhana dhonda khuda nay

Khuda nay kar kay muhabbat Muhammad (S.A.W) say

muhabbat k asloob btaey hmainNabi SAW say muhabbat

Or Muhamad (S.A.W) nay baha kay joton main khoon

Muhabbat karnay k aadab sikhaey hmain

Nabi SAW kay char yaar muhabbat ka hi aala nishan hain

Kiun bhoolain Bilal e Habshi ko hum

Muhabbat main un ka bhi aala maqam

Din nahin aata jab tak na dain aazan

Yay nadan log kiun hawas ko muhabbat ka naam daitay hain

Khuda karay aey Noor e Akhter muhabbat main wo maqam aey

Nadanon ko sikhanay kay lye muhabbat khuda khud saray aam aey

Khana Kaaba, Safa o Marwa, Aab e Zam Zam, Roza Rasool SAW

Aey hawas parasto dekho yay hain muhabbat kay Aaala maqaam

Isi muhabbat ki khatir to ae Noor e Akhter 

Karbla main sabhi shahadat ka jam petay hain

Sachi or Pakeeza muhabbat ko khuda pasand farmata hay

Khud bhi muhabbat karta hay or makhloq say bhi kartwata hay

Or ye muhabbat ka hi aizaz hay Noor e akhter 

Kay makhloq to khuda ko sajda karti hay

or khuda muhabbat main kaaba ko jhuka kar Nabi SAW ki tazeem karwata hay

 

Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

 

DHUND K US PAR

  دھند کے اُس پار

Dhund kay us paar

Kaya Kaya haseen soorty thein

Kay dil har waqt tha dekhnay ko beqarar

Chaly jo ajal key garam hawa Noor-e-Akhtar

Wo sab soortain kho gaein dhund kay us paar

Zamany key ajab rawishein ho gaein

Wafa to wafa kay daman may hey so gae

Mera to sab mera rahy jo cheez tere ha wo bhy mere ho gae

Fikar to siraf aj ky ha kis nay socha kal kaya ho ga dhund kay us paar

Maar do cheen kay kha lo sab kuch

Kar lo bas ik dony dony do dony char

 

Kae salon par muheet ha wo aik din Noor-e-Akhtar

Kaya dey paein gay in chand salon ka hisab dhund kay us paar…


 


Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

 

Funny Poetry for Husband – Nirala Khat

 

Murghi pasand aa gai hay mujh ko

paisa bhaijna hay tujh ko

intain mngwa  li hain main nay 

murghi ka drba bnwana hay tujh ko 

murghi nay jo anda dia tujh ko 

tull k khana hay mujh ko

ho jae agr bukhar mujh ko

to dwai lana hai tujh ko

ho jae agr tera dam pukht 

to ameen kehna hay mujh ko

bss or kya likhun sari kheriyat hay mujh ko

slamtu to sari mujh ko bus majbori ka salam hay tujh ko

 

                              ANOKHA KHAT

Poet: Noor Akhtar

Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

New Year Shayari- New Year Poetry in Urdu 2024

Sal e No


New Year Poetry in Urdu 2019

  Guzishta sal ko glay say lgaya tha hum nay

mit jaen gi sb dorian ranj o kulfat

ya khayal dil main basaya tha hum nay

kiya hua jo itni maaun kay lal kha liye tu nay

kabhi Rohingya o Kashmir o Flastien rula diya tu nay

kiya kiya soratain thin khak main mila diya tu nay

Aarzo hay ab kay bras phool khilen gay taza

or ab na uthay ga kisi bay gunah ka janaza

Ae sal e no tujh say aas hay hmain

new year shayari

Teri muhabbat ki nazar ki piyas hay hmain

Kiya phool dil kay khilen gay

Bay sharun ko sharay milain gay

Umeed hay to sirf guzar hi nahi jae ga

Sab say wafa nibhaey ga

dor e hazir k hukmran jo na kar skay tu wo kar kay dikhae ga

ab kay baras sadaqat kay drechay khulain gay

chlakti hui hur aankh tarapta hua har dil Noor Akhter

chain pa jaen sb dua hay hmari

Tootay huay sehmay huay dil main phir yay aas lagai hum nay



Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

DEDAR

Mother’s Dreams about her lost son

Deedar

Suna hay wo kal aya tha sar e shaam

Afsos to bs yehi hay hmain khabar na hui

Hayat-e-Bashri me tha to mera tha wo

Naajanay Hayat-e-Jadwani main kiun paraya ho gya

Khushboo ki trha mehka karta tha wo meray angan main

Bahisht-e-Gulshan kay phoolun ka wo ab saaya ho ga

Shab bhar sitarun ko taka kartay hain diwana war

khuda janay wo ab konsi subha ka sitara hogya

Diya liye hathun main aas umeed ka ik muddat say

umeed e deedar main kharay hain ik zamana ho gya

Hogi sehar ik deedar ki Noor e Akhter

Hoti nahin sehar shab huay ik zamana ho gaya

 

Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

 

Meri zindagi

zindagi
zindagi

Meri  Zindagi

Aey zindagi main tujhay ghar lay chalon

kiss qadar badaltay hain dhang tairay

Tujhay dikhanay lay chalon

Dekh to chaman main kese veerani hay

Har chehray pay ajeeb herani hay

koi chalta hay chal nadani say

Koi badalta hay tevar makari say

Aa tujhay tera chalan dikhanay lay chalon

Aa dekh to kesi uri he khak dukhtar ki

Aa dekh to kaisay tapki hay aankh madar ki

Zara dekh to kesa laho hay chasham may madar jae ki

Zara dekh to kesi lachari hay chasham may pidar ki

Aa aey zindagi tujhay tujh hi say maray dikhanay lay chalon 

Kyukar hoe hawa ki beti besharm-o-by haya

Jis nay baich khai laja or sharm-o-haya

Kiasay bikti hai jannat wastay mal-o-mata

Aa aey zindagi tujhy wo bikti hoe jannat dikhanay lay chalon

Zindagi to kattay hain sab jannat ki aas may

Koi betha hai mal-o-mata ki aas may

Or kuch karty hain basar tera firat  kinary ki payas may

Aa aey zindagi tujhy payas say  janbalab chehray dikhanay lay chalon 

Zindagi ki jannat ka yeh haal hay to aakhrat ki kaya ho gi

Bahisht to bhari ha lalach ki aas say 

Khuda janay kay bahisht akhir kesi ho gi

Aa aey zindagi tujhy bahisht kay jaltay hoe pehlo dikhanay lay chalon

Tujy to haq nay tha bary maan say banaya 

Isi khatir malaika say sajda tujhay karwaya

Kabhyi arsh par kabhi farsh par tujhay bulaya

Aina dikhanay ki khatir Noor-e-Akhtar zindagi ko tham hum nay bulaya

Aa aey zindagi tujhay wo aaloda aina dikhanay lay chalon

 

 

  Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.