Khudaya chmaktay soraj ki dopehar shal kiun nai jati
jhail chukay zindagi ko bohat ye musibat ab tal kiun nahi jati
Sainkron khawab khwahishon k
Ankhon ky smandr main bha kr chaly
Arzu chalny ke the jin k sath
Rooh bojhal man bhari ankhein trbtar
Noor Akhter hum to har din is smandar main doobty chal
Na koi ehsaas na pyar na pur josh ankhain kisi ki
lagta hay aisay plastic ka dil rkha ho kisi khilonay main
Kiya mila hmain kisi ko sanwar kr nikhar kr
hum to chlay jaen gay dukhun kay din guzar kar
Dunya main kab pyar k badlay piyar milta hay
daikh chukay hum to hr rishta nata aazma kar
Bachpan main rahay hum manind e shehanshah
bhagay phiray hum moj main har jah
har sinf e nazuk hmain galay say lagati thi apna samujh kar
bosa leti thi hmara wo hans hans kar
dukh to hay hmara jab say huway jawan hum
ab wohi sinf e nazuk mor leti hay munh praya smujh kar
Aaj dil bohat bhar aya hay
Najanay is ko kiya khayal aya hay
Tup Tup brasnay lga kiun pani hay
lagta hay isko koi shuks yad aya hay
Neki asal-e-hayat ha Nabi (S.A.W) ka pegham yeh batata hay
Karo jis say neki us kay shar say bacho Hazrat Ali (R.A) kay qoul say jana hum nay
Karo neki or darya may daal do yeh bazargon say seekha hum nay
Phir aksar neki karnay walon ko darya burd hotay bhi daikha hum nay
Yehy sooch kar guzar jati hain shab-o-roz Noor-e-Akhtar
<
p style=”text-align: center;”> Kay ghor andheray may phir umeed ka ik diya zaroor jalata hay