Wafa Shayari | Wafa Ki Umeed by Noor Akhter

Wafa Shayari! Best Wafa Shayari in Urdu

 


Wafa Key Umeed.

Kabhi hum bhi chahtay thay sab ko

Par kisi nay na  daikha rahon main kharay hum ko

Shoq say dunya kay ilm-o-fanoon sekhay hum nay

Magar afsoos hayat ka asal dars umr-e-akhir may parha hum nay

Shayad aina-e-wafa wafa key tasveer hi dekhata hay

Par bay-wafai ka sanp sab ko das jata ha ye dekha hum nay

 

 

 

 



Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.

 

DHUND K US PAR

  دھند کے اُس پار

Dhund kay us paar

Kaya Kaya haseen soorty thein

Kay dil har waqt tha dekhnay ko beqarar

Chaly jo ajal key garam hawa Noor-e-Akhtar

Wo sab soortain kho gaein dhund kay us paar

Zamany key ajab rawishein ho gaein

Wafa to wafa kay daman may hey so gae

Mera to sab mera rahy jo cheez tere ha wo bhy mere ho gae

Fikar to siraf aj ky ha kis nay socha kal kaya ho ga dhund kay us paar

Maar do cheen kay kha lo sab kuch

Kar lo bas ik dony dony do dony char

 

Kae salon par muheet ha wo aik din Noor-e-Akhtar

Kaya dey paein gay in chand salon ka hisab dhund kay us paar…


 


Poet: Noor Akhtar Warning: All of the poems on this website are copyrights of Miss Noor Akhatr. Any kind of reposting or use without permission is not allowed.